Mere intzaar mein mushtaq mujhe dikhaya mujh ko
Ubalti ashkon kee dhar bahee phir tandi ho chali
Do pal ke matam ne phir insaaN banaya mujh ko
Ye dard hai kya kahan uthee hai ye tees
Khuda mere tune kya kya na bataya mujh ko
Jaate dekha tujhe laga dil nikal raha hai
jaan de kar kharida rasKq, rok na paya tujh ko
Mohabbat mein intehaan kya aur vajib kya ?
Beher mohabbat ka na samjha paya khud ko
Azal
1 comment:
mohabbat dard bhi hai aur dawa bhi,
lekin jo bhi kaho, puri duniya mein iska muqabala,
koi nahin(:
Post a Comment