Thursday, June 5, 2008

Haadson ke shahar mein ajab hadsa hua
Tamashai bane hum, tamasha apna hua

Ik uchai se khud ka didar hua
Apnee halat par rask aur hasna hua

Chuti sari chahate ek pal ko dil suun raha
Kuch bhi rone ya hasne ke kabil na hua

Mohabbat ka ek rang dikha nirala mujhko
Dang raha mein ke har saksh mera aaina hua

Luft e jeest ka ek naya andaaz doston
Jab chod diya sab to sab apna hua

Mera dil tera hua tere dil se kya kaam
Bandgi kabool kar mein badshah hua

Hone aur na hone mein farq ek pal na dikha
Chak jigar, betaab dil, asqh sab bemani hua


Azal

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape